Feeling like writing some poetry!
yeh jo abhi hai yeh phir kabhi nahi,
yeh jaisa hai, jis tarha ka bhi,
yeh tumhari soch ki tarah tumhara hai,
yeh tumhe bhi pata hai aur mujhe bhi.
pal, jo ki sachcha hai aur nirmal bhi,
jo jitna hi meetha hai utna hi kadwa bhi,
agar apna lo to yeh tumhara hai,
yeh tumhe bhi pata hai aur mujhe bhi.
pal, kabhi jisme poore jeevan ka saraansh hai,
to kabhi aane wale kal ki bhavishyavani,
agar mehsoos karlo to yeh tumhara hai,
yeh pal ko bhi pata bhi.
pal pal se pal banta hai,
nikharta hai, sanvarta hai,
Jise agar tum na samajh pao,
To woh apne hone ka parimaan,
aane wale kal main deta hai.
Iske samajhne main hi tumhari bhalai hai,
Tumhari vijay, tumhari poornta hai,
Kyonki jo abhi hai woh swachch hai, bhagwan hai.
yeh jo abhi hai yeh phir kabhi nahi,
yeh jaisa hai, jis tarha ka bhi,
yeh tumhari soch ki tarah tumhara hai,
yeh tumhe bhi pata hai aur mujhe bhi.
pal, jo ki sachcha hai aur nirmal bhi,
jo jitna hi meetha hai utna hi kadwa bhi,
agar apna lo to yeh tumhara hai,
yeh tumhe bhi pata hai aur mujhe bhi.
pal, kabhi jisme poore jeevan ka saraansh hai,
to kabhi aane wale kal ki bhavishyavani,
agar mehsoos karlo to yeh tumhara hai,
yeh pal ko bhi pata bhi.
pal pal se pal banta hai,
nikharta hai, sanvarta hai,
Jise agar tum na samajh pao,
To woh apne hone ka parimaan,
aane wale kal main deta hai.
Iske samajhne main hi tumhari bhalai hai,
Tumhari vijay, tumhari poornta hai,
Kyonki jo abhi hai woh swachch hai, bhagwan hai.

Badhiya hai dost !
ReplyDelete